1. |
hayat
04:34
|
|||
hilakar wo sar apna
mere kaandhe pe rakhdena
zulf sehlaau jo
tu hasske haan kardena
kabse hai intezaar
jazbaat-e-ranjish ka
dil mera aadi hai
khilke bikharne ka
meri saansein chalti hai
tere chalne se hi
thamm na jaana kahin
tu jo thamm gaya toh
thamm jaaye zindagi
marr na jaau kahin
ek halka ehsaas ho
tum wo shayaro ki baat ho
tum meri taaza taaza yaad ho
meri jaan mere tum hayat ho
nazro mein karke jaan
dekho toh shaamil hume
jhapke palak teri girr jaye
patto se patjhadh mein
lafzo ki baat nahi hai
bas ye pyaar hai
tu sunta nahi hai
hum phir bhi gaate hai
teri hi baahon mein rehna chahte
tere hi saanson me behna chahte
tumsa nahi koi iss jahaan mein jaise
koi purana geet ho iss zamane mein
ek halka ehsaas ho
tum wo shayaro ki baat ho
tum meri taaza taaza yaad ho
meri jaan mere tum hayat ho
|
||||
2. |
laila
03:03
|
|||
haye mere dil ki ye raza
ki manzurr har saza
na hai darr e khauf koi
kya anjaam ab mera
uff teri hi ye ada
behti jaise hai hawa
haath bhi na aaye tu
jaise tu koi toofan
jaana
ye jaan bhi jaaye na
kuch bhi bhaaye na
hume tere bina
haan
kehdo na kehdo na
tumko bhi hai ye
khumaar
baat karke toh dekho kabhi
o’ laila
tere peeche marr gaye
apni jaan nisaar kar gaye
laila
o’ laila
o’ laila
tum aage badh gaye
humko yahin chhod gaye
laila
haan, laila
laila ke hai charche hazaar
laila deti mujhko bukhaar
laila meri dhadhkane badh rahi
laila majnu pe sawaar
mera majnu sa mann
tera sajjta ye tann
mujhe maar hi na daale
laila tera ye yauvan
maine door hona tujhse
na lagta ye fun
tujhe pyaar karna kyu
mujhe lagta kaffan
but since you’ve entered
my life’s been better
sleeping on my shoulder
waking in my sweater
ye sab lagta behtar
tera sath hai par
tera sath nahi hai
sochu khudse kehkar
main prem mein padd gaya laila jo tere main
thoda lame sa ho gaya auro ke liye main
thoda fame hai chadhh gaya sarr pe mere jo
you just came in and utra main jhatt se pairo pe tere
oh laila
meri baat sunle tu
chaahe mera sath chunle tu
likh tujhpe aaj gaane du
ab thode khaab bunle tu
laila
o’ meri laila
o’ laila
tere peeche marr gaye
apni jaan nisaar kar gaye
laila
o’ laila
o’ laila
tum aage badh gaye
humko yahin chhod gaye
laila
haan, laila
|
||||
3. |
huzoor
03:57
|
|||
tere sheher jab aaye thhe hum
aaya sahi tu par chaar pal
chaar pal mein chaar baatein kari
chaar yaadein bani
phir chalti hun main
haye soona soona hai ab ye mann
tu jo nahi toh bhaari hai ghamm
aankhen bhi namm hai aur
saansein bhi kamm hai ye
jivan bharam hai
toh aao zara
wo kona mere dil ka bharo na
nahi kya tujhko yaad
mere dil ke haalaat
chalo,
kaho na
kya yaad hai wo rona
mera tujhe yu dekh dekh
thaam dil ko kehna ke
teri hirni si aankhen
mujhko hain taaken
kaise na main
sharmaau
teri saari fizaayen
haan aise bahayein
ulajhta hai dil
kya karu
aisa karo na
do na yu dhoka
karlo samjhauta
pyaar ka mujhse
huzoor
haan
aise nai hota
do na ek mauka
pyaar ka mujhko
huzoor
oh oh oh
jaana paas toh aana
geet kuch sunane hai
tu milne toh aana
maana zamana hai
tera deewana
mujhsa bhi nahi koi
hu main toh parvana
yahan toh beth
zara jaane jaana
pyaar se wo geet gun gunana
gar’ main kho gaya kahin
toh tum samajhlena
teri pyaari si baahein
jo sapne dikhaaye
soye bhi
na so paau
teri garm si raahein
saansein thamaye
aur jalta hai dil
kya karu
haye,
haye
aisa karo na
do na yu dhoka
karlo samjhauta
pyaar ka mujhse
huzoor
aise nai hota
do na ek mauka
pyaar ka mujhko
huzoor
|
||||
4. |
maahiya
04:27
|
|||
dil ka diya
kyu ye bujha
kya thi wo aag
tere jaate hi jo gayi
awaara sa
awaara tha
awaaragi mein hi
khamakha tere dar fira
phira do ye dhaago se
si do mere dil o jaan
aise karo na ye
nazukk mere dil pe vaar
maahiya
kaise
kaise hoti thi wo sair
seher pe tumhari
nigaahon ke raaste
raaste
gumm jaate thhe
kis galii kis ghadii
jaan-e-jaan hum
tumhare hi vaaste
vaaste
kaise jiya
mera jiya
hum hi toh jaante
hai nahi ye khabar kahin
ishq kiya
haara piya
nahin thi khabar ke
hai ye juaa’e’tishnagi
haara toh haara
kahin ka na raha main, jaan
par jung’e’mohabbat
mein jayaz khata har,
ilzaam
maahiya
|
||||
5. |
khudse
02:45
|
|||
aisi raah pe main chal raha
har jagah hu main darr raha
kyun
begana
teri baatein kyun main kar raha
har pal har dafa ladd raha
kyun
khudse
hu main khafa kyun
jeene se
kyu main judaa hu
bas chahu main yahi
khudki justju mein,
ho jaau raazi
mil jana aise tu
na kar dil farebi yu,
nazrein mila
kyunki
khudse
hu main khafa yu
jeene se
kyun main judaa hu
|
||||
6. |
saawariya
03:58
|
|||
beeti mori rattiyan saari
aakhiyaan hi bahave
mann bisri sa hove
jaane kon rog laga ye
wo jo laagi lagan prem ki
daag hi kyun paave
paave daag kabhi na paave
baah ye tohri
saawariya
dukh hi dukh mein samaye
saawariya
dukh hi dukh mein samaye
ab naa hoye
mann ki lagan tose
mann ki baat
kucho naa hoye
khaakh sa laage
ye jivan
laage bechain
ye mann
khaakh sa laage
ye mann
bechain ye
jivan
sawariya
dukh hi dukh mein samaye
sawariya
dukh hi dukh mein samaye
sawariya
sawariya
kaahe kiya
tune piya
|
||||
7. |
aaj se
03:16
|
|||
aaj se
teri baatein meri yaad mein
aise judd gayi
jaise
dekho wo chaand sitaare aasmaan mein jude bethe
raaton ko chhodh karke tu
subho mei mill hume kabhi toh?
jhoot kuch tha nahi
dil tak jaana tha hume har baar
tu kehta rahe
hum sunte hai
toh dukhaye dil
bethe yahan
hum kya kare
bas phirte hai
ghumm pee pee kar
har jagah
gaate rahe
ab marte hai
beth beth bas
hum likhte hai
jazbaato ke janaazo mein
soye soye se hum ab rehte hai
wallah
wo surat wo nigaahein
teri ada sab yaad hai
par kya kare
wo lafz zulfein
teri duayein bekar hai
kyuki
teri khata bhule na
ab tak humko
wo yaad hai
wo yaad hai
wo yaad hai
|
||||
8. |
sarphira
04:54
|
|||
kaisi baatein main kar raha
main sarphira
main sarphira
tujhse ho gaya jo judaa
mera sar phira
hua sarphira
jazbaato se bhari ye jaan nikal na jaaye
kab kya pata hai
gaate gaate likhne lage kab
ye kya sila hai
din din bhi guzarte jaaye
phir bhi hum tum na paas aaye
abse hume ghamm sulaaye
kon chaahe kya sitam
ye kya gila hai
lagayi jaan apni
jaan’ tujhko jaan dedi
jaan mein jaan se
anjaane mein wo jaan leli
thi kya khata har dafa
ye sawal mein bhi
karta main yaad itminan se
hai pyaar yahi
kaisi baatein main kar raha
main sarphira
hua sarphira
tujhse ho gaya jo judaa
mera sar phira
hua sarphira
haazir hai aaj dil ka paigam
zaalim iraadey aur bikhre hain baal
kaise thhe tab aur kaise hain aaj
jaana kamaal ye ishq mizaaj
zamane se kaise
chippaaye hum
phirse teri baatein
dhoraaye hum
naa chahke bhi wahi chahh se hi
tere naam pe
sarr ghumaaye hum
dawa do na mujhko
duba do uss dil ko
ke saans na aaye mujhe
wo pal ghote jaake mere damm ko
lo thakk haar ke bhi aaya kinare pe
sar phirate main dekha wo paani mein
aaye nazar mujhe tera hi chehra
ab jeete jeete kaash bas
marna munasib ho
haye,
tujhme doobte hai
toot’te hai aise
jaanam kaanpte hai
yaad karte kaise
jaise baarishon me
bijliyo ka aalam
aur hum jal jaaye
tadap ke aise
haye
kaisi baatein main kar raha
main sarphira
hua sarphira
tujhse ho gaya jo judaa
mera sar phira
hua sarphira
|
Streaming and Download help
If you like Vasu Raina, you may also like:
Bandcamp Daily your guide to the world of Bandcamp